Ad Code

Ticker

6/recent/ticker-posts

मुंह की बदबू कैसे दूर करे? Muh ki badbu ka ilaj

 Hello dosto aaj me aapko मुंह की बदबू का इलाज ke bare me bataoga ki aap ki badbu kaise rok sakte hai.

Agar aapke bi muh se badbu aati hai to yah article aapke liye hai yah article ki help se aap apne muh ki badbu se bach sakte hai.

muh-ki-badbu-ka-ilaj


- सांस या मुंह की बदबू के कारण/हमारे मुंह से बदबू क्यों आती है?(Causes of breath or mouth odor / Why does our mouth smell?)

Muh se badbu aane ke karan in hindi.

• Muh se badbu aane ka sabse bada karan to yah hai ki bahut se log bachche brush nhi karte hai jiske karan badbu aati hai.

• Khana khate samy khana danto me fas jata hai jiske karan bi badbu aati hai.

• Gale ya fir sans se judi koi bimari hona.

• Pachan tantra me koi dikkt aana ya pachan sakti kamjor hone par bi muh se badbu aati hai.

• Daru ya sigret peene se bi muh se bahut bekar badbu aati hai.

काले-पीले danto ko जल्दी safed कैसे karen in hindi?

• Muh me kisi tarah ki bimari hona ya masude me koi presani hona.

• Sharir me zinc ki kami ke karan bi muh se badbu aati hai.

- मुंह की बदबू का इलाज/मुंह या सांसों की बदबू को हमेशा के लिए कैसे दूर करें?(How to cure mouth odor / remove the smell of mouth or breath forever?)

Muh ki badbu ka ilaj in hindi.

• माउथवॉश का इस्तेमाल करें।

Muh ki badbu dur karne ke liye mouth wash ka use karna chahiye mouth wash muh ke kitanu ko katam karta hai aur muh saf karta hai lekin mouth wash ka upyog roj nhi karna chahiye.

• सूखा धनिया

Sukha dhaniya muh ki badbu dur karne ke liye sabse achha tarika hai sukhe daniya ko muh me rakh ke chabane se muh ki badbu dur hoti hai.

• बेकिंग पावडर 

Agar aapke muh me jyada badbu aati hai to hafte me ek bar baking powder se apna muh saf karna chahiye ya fir aada chammch baking powder ko 1 glass pani me dal kar isse kulla karna chahiye. 

• विटामीन सी

Khatte phal khana chahiye kyo ki khatte phal me बैक्टीरिया inse ladne ki dur bhagane ki takat hoti hai isliye khatte phal khana chahiye jese nimbu,santra,angoor khaye.

विटामिन C के कारण, लक्षण, मुख्य स्रोत और कमी के रोग

• ग्रीन टी

Green tea me एंटीबैक्ट‍िरियल कंपोनेंट paye jate hai jo muh se badbu dur karne me bahut sahayta karta hai isliye green tea peena chahiye.

• नाश्ता करना

Subah roj daily nasta karna chahiye kyo ki nasta karne se muh se thuk banta hai jisse jhibh saf rahti hai aur बैक्टीरिया bi khatam hote hai isliye roj daily nasta karna chahiye.

• लौंग

Laung ko halka bhun kar chabana ya fir laung ko muh me rakh kar chusna chahiye kyo ki laung ko chusne se muh ki badbu dur hoti hai aur khana bi achhe se pach jata hai.

• पुदीना 

Pudina muh ki badbu ko dur kar sakta hai bas aapko pudina ko pis kar pani me ghol kar din me 3-4 bar kulla karna chahiye pudine se muh ki badbu dur hoti hai aur sath sath muh se judi bimari dur hoti hai.

• अदरक

Adrak ki 1 chammch ras ko 1 glass pani me mila kar ya ghol kar din me 2 se 3 bar kulla kare asa karne se muh ki durgandh dur ho jati hai.

• नींबू

Nimbu bi muh ki badbu dur karne me sahayata karta hai bas ek nimbu ko 1 glass pani me nichod kar isse din me 2-3 bar kulla kare badbu dur ho jayegi aur muh bilkul saf ho jayega.

- मुंह की बदबू दूर करने के आयुर्वेदिक तरीके(Ayurvedic methods to remove mouth odor)

Muh ki badbu dur karne ke aayurvedik tarike in hindi.

• पर्याप्त मात्रा में पानी पिएं।

Muh se badbu dur karne ke liye sabse phle jayda se jayda pani piya kyo ki pani nhi pine se muh shuk jata hai aur muh me kitanu panp ne lagte hai isliye pani pina chahiye taki muh gila rahe.

• ग्रीन टी

Green tea piye kyo ki gree tea me एंटीबैक्टीरियल कम्पोनेंट se badbu dur hoti hai isliye green tea pina chahiye.

• तुलसी की पत्तियां

Tulsi ki pattiya muh ki badbu dur karne ke liye bahut faydemand hai isliye roj daily subah syam 3-4 neem ki pattiya khana chahiye taki muh se badbu na aaye.

तुलसी के पत्तों के 11 बेहतरीन फायदे | tulsi ke patte ke fayde in hindi

• सरसों के तेल और नमक

Sarso ka tel toda sa hatheli me le aur ek chutki namak milaye aur ise apne masude par malish kare asa karne se  masude bi majboot hoge aur muh ki badbu bi chali jayegi.

• अनार की छाल

Anar ki chhal ko pani me achha ubal le aur yah pani ko roj daily brush karne ke bad kulla kare kyo ki anar bi muh ki badbu dur karta hai.

- मुंह की सफाई कैसे करें?/मुँह की बदबू से बचने के उपाय(How to clean the mouth? / Prevention of bad mouth)

Muh ki badbu se bachne ke upay in hindi.

• Roj daily subah se apne danto aur muh ko achhe se saf kare aur brush kare.

• Agar aapke dant peele hai to neem ki टहनियों le kar usse brush kare kyo ki neem me एंटी-माइक्रोबियल paya jata hau jo pile danto ko safed kar deta hai.

• Gungune pani se apna muh dhoye.

• Apne muh me jyada gandhgi na banne de brush kare.

muh-ki-badbu-kaise-dur-kare


• Agar aapke danto me khana fas jata hai to use dek kar nikal de nhi to bah dat me fase rahne se muh se badbu aa sakti hai.

• Jhibhi se roj daily apni jibh saf kare.

• Mouth wash ka istemal kar ke muh dhoye.

• Agar fir bi aapke muh se badbu aati hai to turant apne kisi achhe doctor ko bataye.

- ब्रश करने के बाद भी मुंह से बदबू आती है क्या करें?(Mouth smells even after brushing. What to do?)

Brush karne bad bhi muh se badbu kyo aati hai?

Roj daily subah se 2-3 minutes tak brush kare agar fir bi aapke muh se badbu aati hai.

• Brush karne se bi badbu aaye to neem ki datun se apne danto ko saf kare.

• Ayurvedic paste ka use kare apne dant saf karne ke liye.

ग्रीन टी पीने के बेहतरीन 14 फायदे | benefits of green tea in hindi 2021

• Aap brush karne ke liya jo paste use karte hai usko badle aur dusra paste ka istemal kare.

• Agar fir bi aapke muh se badbu aati hai to achhe kisi doctor ko bataye aur unse salah le.

- मुंह की दुर्गंध से बचने के लिए क्या खाएं?(What to eat to avoid bad mouth odor?)

Muh ki badbu se bachne ke liye kya khana chahiye?

• Taja phal fruit sabji khaye.

• Piparment aur elaichi khaye.

• Nimbu khaye na nimbu pani piye.

• Khana khane ke bad सौंफ khaye.

• Naste me sabut anaj ka sevan kare.

- मुंह की दुर्गंध से बचने के लिए क्या ना खाएं?(What not to eat to avoid bad mouth?)

Muh ki badbu se bachne ke liye kya nhi khana chahiye?

• Pyaj,lahsun se dur rahe.

• Dari sigret na piye.

Sharab kaise chhode ? शराब को छोड़ने के तरीके हिंदी में

• Ande mass machhali se dur rahe.

• Acidity kabj se bache.

• Jyada tej gandh bali chijo se dur rahe. 

• Meethi chijo ko jyada na khaye.

• Coffee jyada na piye.

- मुंह से बदबू हटाने की दवा(Oral medication)

Muh se badbu hatane ki dawai in hindi.

Muh se badbu hatane ke liye ayurvedic medicine yah dawai lene se aap apne muh ki badbu ko hata sakte hai to chaliye jante hai muh ki badbu dur karne ki dawai ke bare me.

• कुमार भरण रस (Kumar Bharan Ras)

Muh ki badbu dur karne ke liye आमलकी, पिप्‍पली, अदरक, अश्‍वगंधा, मुलेठी jesi bahut si ayurvedic chijo se mil kar bani yah dawai hai jo muh ki badbu ko dur karta hai.

• त्रिफला चूर्ण (Triphala Churna)

Triphala churan yah आमलकी (आंवला), हरीतकी (हरड़) और विभीतकी (Terminalia bellirica) tine ayurvedic chijo se mil kar bana hai jo apke muh ko saf karta hai aur muh se badbu hata deta hai.

• नागरादि क्‍वाथ (Nagaradi Kvath)

Danto se judi samsya hone par yah dawai bahut kam ki yah dawai me त्रिफला, शुंथि और अन्य हर्बल chijo se mil kar bana hai jo danto se judi bimari ko thik karta hai aur muh se badbu dur karta hai.

- निष्कर्ष (Conclusion) -

Umid karta hu ki aapko yah jankari मुंह की बदबू का इलाज in hindi ke bare me sari jankari mil gai hogi aur yah jankari ki help se aap apne muh ki badbu ko dur kar sakte hai agar aapko yah jankari pasnd aaye to is jankari ko apne dosto rishtedaro ke sath share kare aur comment kar ke bataye ki aapko yah jankari kaisi lagi.


एक टिप्पणी भेजें

2 टिप्पणियाँ

Please do not enter any spam link in the comment box

Recommended Posts

Ad Code