Ad Code

Ticker

6/recent/ticker-posts

Ghar Par Meditation Kaise Kare? मेडिटेशन करने के फायदे

 Hello dosto aaj me aapko Meditation kaise kare in hindi ke bare me sari jankari dunga.

Agar aapko meditation karna sikna hai to yah article aapke liye hai yah article ki help se aap bi meditation karna sik sakte ho.

meditation-kaise-kare


Agar aapko yah jankari pasnd aaye to is jankari ko apne dosto rishtedaro ke sath share kare aur comment kar ke bataye ki aapko yah jankari kaisi lagi.

- मैडिटेशन का अर्थ क्या है?(What is the meaning of meditation?)

Meditation meaning in Hindi

Meditation ko hindi me dhyan kahte hai aur yah normal yoga hi hai jo apne dimag ko गतिशिल मन और इच्छाओ ko control karne me kiya jata hai aur meditation sharir me apni sakti ki pahchan karta hai aur mediation karne se aap bilkul fresh mahsus karte hai aur yah dimag ke liye bi achha hota hai.

- मेडिटेशन कितने प्रकार के होते है?(What are the types of meditation?)

Meditation ke prakar in hindi

Meditation 8 prakar ke hote hai kon kon se meditation hote hai chaliye jante hai.

1. ज़ेन मेडिटेशन (Zen meditation) 

2. माइंडफुलनेस मेडिटेशन (Mindfulness meditation)

3. अध्यात्मिक मेडिटेशन (Spiritual meditation)

4. कुंडलिनी योग ध्यान (Kundalini yoga)

5. मंत्र मेडिटेशन (Mantra Meditation)

ब्रीदिंग मेडिटेशन

6. गहन ध्यान (Deep Meditation)

7. तृतीय नेत्र ध्यान (Third Eye Meditation)

8. ‌‌ॐ शांति मेडिटेशन (Om Shanti Meditation)

- मैडिटेशन कैसे करे/मेडिटेशन करने का तरीका(How to do meditation? / method of meditation)

Ghar par dhyan meditation kaise kare tarika in hindi?

1. शांत स्थान का चुनाव करें।

Meditation karne ke liye sabse jyada jaruri hai ki aap jaha meditation kare bah jagah bilkul shant ho isliye meditation karne ke liye bilkul shant jagah ka hi chunav kare jaha par achhe se meditation kar sake.

2. सही समय का चुनाव करें।

Bese meditation karne ka koi time nhi hota hai jab aapko samy mile tab aap meditation kar sakte hai lekin aap ko din me jab bi time milta hai tab meditation kare aur roj usi time par meditation kare jisse ki aapka roj meditation ho sake aur achhe se meditation me man lage.

सुबह जल्दी उठने के 8 जबरदस्त तरीके | सुबह जल्दी कैसे उठें?

3. ढीले कपड़े पहनकर ध्यान करें। 

Meditation karne se phle yah bat jarur rakhe ki aapne deele kapde pahne hai ki nhi kyo ki taid kapde se meditation karne me dikkt jati hai aur tik se meditation nhi ho pata hai.

4. शांत और सीधा रहने का अभ्यास करें।

Meditation karne ke liye meditation karne se pahle aapko bilkul shant aur kamar seedi karke bethte aana chahiye jisse ki aap todi der meditation kare isliye meditation karne se phle shant aur seeda bethne ki kosis kare.

5. धीरे-धीरे गहरी लंबी सांस ले।

Jab aapko seeda shant bethte aa jaye fir aap deere deere gahri sans le aur deere deere sans chhode asa karne se aapki body relax ho jati hai.

6. अपनी सांसों पर ध्यान केंद्रित करें।

Gahri lambi sans lene ke bad aap apni aankh band karke apni sans par dhyan focus kare ki sans kese le rahe hai aur chhod rahe hai.

7. चेहरे पर मुस्कराहट रखें।

Meditation ko aur achha banane ke liye apne chahre par Smile rakhe aur fir deere deere apni aankho ko khole tab aapko apna man bilkul shant mahsus hoga.

8. जमीन पर बैठे।

Meditation karne ke liye hamesh yah bat ka dhyan rakhe ki aap niche jameen par bethe kyo ki jameen par bethne se hi meditation ho payega.

9. खाली पेट मैडिटेशन करे।

Meditation ko hamesh khaali pet hi karna chahiye kyo ki khaali pet meditation karna jyada faydemand hota hai kyo ki khana khane ke bad aalsi aane lagti hai jiske karan meditation nhi ho pata hai.

10. विचारो पर ध्यान न दे।

Meditation karte samy aapko dimag me bahut sari bate vichar aayege jo aapko meditation karne se rokege lekin aapko yah sab vicharo par bilkul dhyan nhi dena hai aur apne meditation me busy rahna hai.

- मेडिटेशन करने के फायदे (Benefits of meditation in hindi)

Meditation karne ke fayde in hindi.

• Meditation karne se tanav tension dur hota hai.

Dimag का tension कैसे dur करें? चिंता तनाव कैसे दूर करें?

• Agar kisi chij ki aapko chinta hai to meditation karne se aapki chinta kam ho jati hai.

• Meditation सकारात्मक soch ko badhava deta hai.

• Negetive soch ko katam karta hai.

• Meditation sharir ki ander ki sakti ko jagata hai.

• Aapke man me daya peda karta hai meditation.

• Agar aapko nind nhi aati to meditation karne se aapki nind me sudar aa sakta hai.

• Mediation bhulne ki bimari ko katam karta hai.

• Dimag ko santa karne me sahayata karta hai.

• Meditation karne se yaad rakhne ki sakti badti hai.

जल्दी याद कैसे करें ? Yaad karne ke best 15 tips in hindi 

• Buri aadt ya buri lat ko chhodne me meditation bahut help karta hai.

• Meditation karne se एकाग्रता badti hai.

• Blood pressure ki bimari ko katam karta hai.

• Sharir me kisi bi tarah ke dard ko kam karne me help karta hai.

- मिंडफुल्नेस्स मेडिटेशन कैसे करे?(How to do Mindfulness Meditation?)

Ghar par mindfulness meditation kaise kare?

Mindfulness meditation karne ke liye aapko sabse phle seedi kamar kar ke bethna hoga ya to aap chair ya fir jamin par bi beth sakte hai bilkul kamar seedi kar ke bethe.

1. Uske bad aapko kam se kam 10 minutes tak sans par dhyan dena hai.

2. Kam se kam 10 minutes tak sunne par dhyan dena hai dhyan se sunna hai.

3. Fir apne aaju baju ki chijo ko dhyan se deke unka rang rup colour par kam se kam 10 minutes tak dhyan de.

4. Uske bad apne man me uth rahe vichar par dhyan se aur sab vichar ka fesla kare mtalab comments kare asa kam se kam 10 minutes tak kare.

5. Fir khade ho kar apne hath ko uper ki aur tane fir ugli se lekar khande tak hone bale khichav par dhyan focus kare asa 2 minutes tak kare.

6. Fir jamin par beth kar apne pero ko felaye tane aur fir per ki ughliya se lekar ghutne tak hone bale khichav par focus kare asa sirf 2 minutes tak kare.

7. Aakhri me 2 minutes ke liye shant chup chap beth jaye aakh khuli band kaise bi rakh sakte hai.

- विपस्सना मेडिटेशन कैसे करे?(How to do Vipassana meditation?)

Ghar par vipassana Meditation kaise kare?

1. Vipassana meditation karne ke liye aapko kuch nhi karna bas aapko niche seede bethna hai.

2. Fir aapni aati jati sans ko mahsus karna hai.

3. Fir nak ke ched me sans ko mahsus kare.

4. Fir sans lene aur chhodne ke bich ke gap ko सहजता se dhyan de.

5. Yah kam jabran nhi karna hai.

1 महीने में बालों को लंबा करने का तरीका in hindi

- मंत्र मेडिटेशन कैसे करे?(How to do Mantra Meditation?)

Mantra meditation kaise kare in hindi?

Mantra Meditation ko aap 5 se 20 minutes tak kar sakte hai is meditation ko karne ke liye aapko ek achhe mantra khoj karna hai.

1. Sabse pahle aap ek achhi shant jagah chun le.

2. Fir baha par shant chup chap bilkul kamar seedi karke beth jaye.

3. Fir aapne jo mantra khoja hai us mantra ka jaap kare.

4. Dhyan ki pahle achhi gahri sans le aur sans chhodte huye matra ka jaap kare.

5. Apne man ko bilkul shant kare koi bi faltuk bat man me aaye to us par dhyan na de.

6. Kam se kam 10 bar yah mantra ka jaap kre.

7. Aur aakhri me mantra ka jaap karna band kar de aur apni sans par dhyan focus kare.

8. Fir deere deere apni aankho ko khol le.

meditation-kaise-kare-in-hindi


- कंसंट्रेटयू मेडिटेशन कैसे करे? (How to do Concertu Meditation?)

Concertu meditation kaise kare in hindi?

Concertu meditation sabse muskil aur bahut powerful meditation hai yah meditation aapka focus badata hai.

1. Yah meditation karne ke liye shant jagah chune aur baha beth jaye.

2. Aur is tarah se bethe bilkul kamar seedi karke bilkul bi na hile.

3. Aur bilkul apne samne rakhi chij par focus kare uske bare kuch na soche ki bah kesa hai kya hai bas dekte rahe.

4. Fir apni aankho ko band kare aur aapne jo chij deki thi usko soche.

5. Aur fir aapke dimag me us chij ki photo ban jayegi.

6. Fir bah photo apne aap aapke dimag se gyab hone lagegi.

7. Fir aap wo photo ko bapas lane ki kosis kare.

8. Aur fir ek time asa aayega jab wo photo aapke dimag me nhi aayegi tab fir apni aankho ko khol le.

9. Fir aankh khol kar us chij ko fir se deke.

10. Aur yah bat ko repeat kariye.

30 din में ghar पर body कैसे banaye? बिना जिम गये

- कंटेंप्लेटिव मेडिटेशन कैसे करे? (How to do Contemplative Meditation?)

Contemplative meditation kaise kare in hindi?

Contemplative Meditation ka upyog karke aap aapni aatma ko samj sakte aur yah meditation apne ego ko kam karne ke liye bahut powerful meditation hai.

1. Bas aapko ek shant jagah bethna hai.

2. Aur fir apne aap se yah sawal puchna hai ki me kon hu.

3. Aapke maholle me ghar me aap jo bi usko sab ko bhul jao.

4. Aur aap apne man me bolte rahe ki me seo nhi hu me malik nhi hu asa aap jo bi ho apne man me bole ki me yah nhi hu.

5. Uske bad aap yah bol sakte hai ki me anant hu aur meri aatma hu.

6. Bas apne man se yah sawal puchte rahe ki me kon hu.

- ऑब्जर्वेंट मेडिटेशन कैसे करे? (How to do Observant Meditation?)

Observant meditation kaise kare in hindi?

Agar aapko ओवरथिंकिंग ki problem hai to yah meditation aapke liye bahut powerful meditation hai jiski help se aap apni ओवरथिंकिंग problem ko katam kar sakte hai.

1. Sabse phle to aap apne akele room me shanti se beth jaye.

2. Fir apni dono ankhon ko band kar lo.

3. Fir apne dimag me थॉट्स ko aane de.

4. Aur fir yah थॉट्स ke bare me bilkul me kuch na soche ki yah kaha se kyo aaya.

5. Bas थॉट्स ko aane do kuch socho mat.

6. Bas थॉट्स aate rahege aur apne aap jate rahege.

7. Bas aapko us थॉट्स ke uper dhyan dena hai unke bare kuch sochna nhi hai.

- स्पिरिटेड मेडिटेशन कैसे करे? (How to do spirited meditation)

spirited meditation kaise kare in hindi?

Spirited meditation bahut hi ट्रेडीशन meditation hai aur yah meditation bahut hi majedaar hai aur spirited  meditation karne ke liye aapko music ki jarurt padegi.

1 हफ्ते me चश्मे का number कैसे kam करे?

Sabse phle aapko 3 tarah ki playlist bana hai.

• 1st list me uper ki taraf jaye.

• 2st list me bahut jyada energy bala ho.

• 3st list me bilkul deere deere slow ho jaye.

Aap hi is gane ki playlist bana le aur yah meditation ko karne ke liye aap 4 stage kar sakte hai.

1) Building Stage 

Building Stage me sabse phle slow music sune aur apni body ko bas moob karte rahe is tarah se jese aap hava me bah rahe ho aur aap sochte rahe aapko jis bi chij ke bare me sochna hai.

2) Release Stage

Release Stage me aapko bilkul tej aur fast music sunna hai aur utna hi tej dance aur jump karte rahe aur apni sari energy ko nikal digiye.

3) Let Go Stage

Let Go Stage me aapko apni energy kam karna hai aur fir deere deere hilte rahiye aur aapko sirf apne dance par focus karna baki aur kisi chij ke bare me nhi sochna hai.

4) Rest Stage

Rest Stage me meditation me aapko kuch nhi karna hai bas aapko chup chap apni aankho ko band karke so jana bilkul relax karna hai.

- मेडिटेशन ध्यान कितनी देर और कब करना चाहिए?(How long and when should one meditate meditation?)

Meditation kitni der aur kab karna chahiye?

Meditation dhyan aap kabi bi kar sakte hai din me rat me subah se kabi bi kar sakte hai jab aap free ho aur meditation kitne der tak karna to meditation 5 se 10 minutes tak karna chahiye.

- सोते हुए मेडिटेशन कैसे करे?/सोते हुए मैडिटेशन कैसे करे? (How to do sleeping meditation? / How to do sleeping meditation?)

sleep meditation kaise kare?/sote hue meditation kaise kare)

Agar aapko nind nhi aati hai sote samy aapke man me chinta vichar chalte rahte hai to aap yah mediation kar sakte hai.

1. Sabse phle apni aankho ko band kare.

2. Fir uske baad apni sans ko gine sans lene par 1 gine aur chhodne par 2 gine asa 10 tak gine.

3. Agar fir bi aapka man ider udar jata hai to ginti ginna fir se suru kar de.

4. Fir aapka dhyan ek jagah focus ho jayega.

5. Agar fir bi aapko nind nhi aaye to apne man me "BODY IS ACTIV AND MINDLY RELAX" bole.

- प्रेगनेंसी में मेडिटेशन कैसे करे?(How to do meditation in pregnancy?)

pregnancy me meditation kaise kare?

Pregnancy bahut hi lambi aur jatin chij hai jo bahut lambe samy tak chalti hai is samy me aap kaise meditation kar sakte chaliye jante hai.

1. Pregnancy me meditation karne ke liye sabse phle dheele dhale kapde phne.

2. Uske bad aap shant jagah ko chune aur baha beth jaye.

3. Fir aap apni sans par dhyan focus kare.

4. Asa 10 se 15 minutes tak kare aur din me 2 bar jarur kare.

- राजयोग मेडिटेशन कैसे करे?(How to do Raja Yoga Meditation?)

rajyoga meditation kaise kare?

Rajyoga meditation ka nam rajyoga meditation isliye padi kyo ki is meditation ko rojana karne se sharir me raja jesa jagruk ho jata hai aur raja jese fesala lene lagte hai isliye is meditation ko rajyoga meditation kahte hai.

गुस्से Ko कैसे Control करें ? Gussa Kam Karne Ke Jyotish Upay

1. Sabse pahle ek shant jagah ka chunav kare.

2. Fir aaramdayak tarike se bethe jisme aap ko achha bethte bane.

3. Fir apni aankho ko khula rakhe aur apne aas pas ki chijo ko deke.

4. Aur fir sab chijo mese se ek chij ko deko aur uspe hi dhyan focus kare.

5. Uske bad apne man me uth rahe saval par dhayan de jo negetive soch hai uspe dhayan na de.

6. Aur fir apne man ko bilkul shant rakhe aur uthne bale achhe saval par dhyan de aur uska answer de.

7. Asa karne se aapko apne man me ek tajgi ka ahsas hoga aur pura din aap achha hi sochoge.

ghar-par-mindfulness-meditation-kaise-kare


- भगवान का ध्यान कैसे करें?(How to meditate on God?)

Bhagwan ka dyan kaise kare in hindi?

Bhagwan ka dhyan karna bahut hi saral hai aur yah dhyan har insan ko karte aata kyo ki har insan kabi na kabi mandir to jata hi hai lekin fir bi chaliye jante hai kaise bhagwan ka dhyan kare?

1. Bhagwan ka dhyan karne ke liye sabse phle ek achhi shant jagah bethe.

2. Fir uske bad apni kamar seedi karke apni aankho ko band kar le.

3. Fir uske bad bhagwan ko yaad kare unke bare me soche.

4. Aur fir aapko man hi man pe jo bi bhagwan ke matra ka jaap kare.

5. Aur fir jaap karte rahe aur bhagwan ka dhyan karte rahe.

Sharab kaise chhode ? शराब को छोड़ने के तरीके हिंदी में

- निष्कर्ष (Conclusion) -

Me umid karta hu aapko Meditation kaise kare aur meditation karne ka fayde in hindi ke bare sari jankari mil gai hogi jise jan kar aap bi meditation kar sakte ho agar aapko yah meditation kaise kare jankari pasnd aai hogi aur aapko fayda mila hoga agar aapko yah jankari pasnd aaye to is jankari ko apne dosto rishtedaro ke sath share kare aur comment kar ke bataye ki aapko yah jankari kaisi lagi.

एक टिप्पणी भेजें

2 टिप्पणियाँ

Please do not enter any spam link in the comment box

Recommended Posts

Ad Code