Ad Code

Ticker

6/recent/ticker-posts

अनिद्रा ko कैसे dur करें? Rat को nind न aane के kya कारण है?

Hello dosto aaj me aapko nind naa ke karan kya hai ? Anidra ke gharelu upay ya anidra ko kaise dur kare? iske bare me bataya gya hai.

Agar aapko nind ya anidra ki samsya hai to yah article aapke liye hai kyo ki is article me Anidra ki kaise dur kare ? Uske karan bataye gye hai aur 1 minute me nind aane ki trick batai gai hai.

Agar aapko yah jankari pasnd aaye to is jankari ko apne dosto rishtedaro ke sath share kare aur comment kar ke bataye ki aapko yah jankari kaisi lagi.

- अनिद्रा क्या है?(What is insomnia?)

Anidra kya hai in hindi?

Anidra jese nam se pta chala raha hai ki अ + निद्रा mtalab nind nhi aana jis insan ko rat me nind nhi aati hai aur bah bar sone ki kosis karta hai lekin uske dimag me kuch na kuch chalte rahta hai jiske karan usko puri rat nind nhi aati hai use anidra kahte hai aur us insan ko anidra ki bimari ho jati hai. 

anidra-ko-kaise-dur-kare


- अनिद्रा कितने प्रकार की होती है? ‌(What are the types of insomnia? )

Anidra ke prakar in hindi.

Anidra 2 prakar ki hoti hai.

1:- तीव्र अनिद्रा/एक्यूट इंसोमनिया (Acute insomnia)

2:- पुरानी अनिद्रा/क्रॉनिक इंसोमनिया (Chronic insomnia)

1:- तीव्र अनिद्रा/एक्यूट इंसोमनिया:- Yah aam tor par nind naa aane ki bimari jesi hai jo ki kuch dino yaa hafto ke liye ho sakti hai.

2:- पुरानी अनिद्रा/क्रॉनिक इंसोमनिया:- Yah bahut hi ghambhir samsya ya bimari ho sakti hai kyo ki yah kuch mahine ya usse bi jyada din tak rah sakti hai 

Yah dono bimari ya samasya kis karan hoti hai iske bare me ham niche janege ki nind na aane ke karan kon se hai?

- अनिद्रा के कारण/नींद ना आने के कारण क्या है?(What is the reason for insomnia / sleeplessness?)

Raat ko nind na aane ke kya karan hai?

Nind naa aane ke kya hote hai? Hame nind kyo nhi aati hai ?anidra kyo ho jati hai aaj ham janege ki hame nind kyo nhi aati hai uske karan ke bare me to chaliye suru karte hai.

तनाव टेंशन ( Tanab ya tension)

Nind nhi aane ka sabse bada karan yahi ho sakta hai tension jis insan ko tension rahta hai ya kisi bat ka Tanab rahta hai to bah insan kabi chain se so nhi pata hai aur yah sabse bada karan hai nind nhi aane ki isliye tension free rahe mast rahe.

दवाई का बुरा असर (Davai ka bura asar)

Bahut bar nind nhi aane ka yah bi karan ho sakta hai ki aap jo davai lete hai uska bura asar ya side effects ho jata hai jiske karan bah ulta asar karne lagti hai jiske karan mind na aane ki bimari ho jati hai.

अधिक भोजन करना ( adhik bhojan karna )

Kabi kabi had se jyada khana khane se bi rat ko nind nhi aati hai kyo ki jan ham jyada kha late hai jiske karan hamara pet karab ho jata hai aur hamra pet dard hone lagta hai aur hame nind nhi aati hai.

दिमाग अशांत रहना (dimag ashant rahna)

Dimag bi kabi kabi sote samy shant nhi rahta hai matlab jab bi ham aakh band karte hai sone ke liye to hamare dimag me kuch na kuch chalte rahta hai jiske karan bi hame nind nhi aati hai.

भय रहना (Bhay rahna)

Dar achhe achhe ki nind udha deta hai bese hi agar aapko sote samy kisi chij ya kisi bat ka dar rahta hai to uske karan bi aapko nind nhi aati hai aur rat bhar dar ke karan jagte rahte ho.

किसी प्रकार का नशा करना (kisi prakar ka nsha karna)

Agar aap ko koi buri chij jese bidi sigret daru ya koi bi nashili chij ki lat hai to uske karan bi aapko nind naa aane ki bimari ho jati hai aur nind nhi aati hai.

दर्द या बीमारी होना (Dard ya bimari hona)

Anidra ka ek yah bi sabse bada karn ho sakta hai aur bahut se logo yah karan se bi nind nhi aati hai agar aapko sharir me kabi par dard hai jese sir dard,kamar dard,pet dard to bi aapko bimari nind nhi aane ki sikayat ho jati hai.

- अनिद्रा के उपाय/नींद न आने पर क्या करें इन हिंदी? (Remedies for insomnia / sleeplessness, what should these Hindi do?)

nind na aane ke ki bimari ko kaise dur karen?

1:- Pedal Ghumne jaye ya pani me tere asa karne se bi aapko achhi aur gahri nind aayegi.

2:- Dimag ko sant rakhe aur dimag ko dusri jagah lagne na de.

3:- Achhi nind pane ke liye sone se kam se kam 1 gante pahle mobile, laptop, tv, tablets ko band kar ke rakh de.

4:- Anidra se chhutkara pane ke liye roj daily kam se kam 15-20 minutes ke liye dhyan ध्यान jarur lagaye.

5:- achhi aur gahri nind pane ke liye yoga kare aapko kon se yoga aur exarcise karna hai uske bare me niche bataya gya hai.

6:- Gahri aur achhi nind pane ke liye ek niymit samy ka hona bahut jaruri hai tik bese hi nind bi roj ek niymit samy par hi soye to achhi nind aayegi.

7:- 1 cup dhoodh me 1 chammch dalchini powder mila kar sone se phle piye achhi gahri nind aayegi.

8:- 2 chutki kesar ko 1 cup dhoodh me milaye aur rat ko sone se phle is dhoodh ko piye yah nind aane ka achha upay hai.

9:- Sone se 2 gante pahle garam pani se ya thande pani se se nahaye asa karne se achhi aur gahri nind aayegi.

10:- Rat ke khane me salad ko jarur samil kare kyo ki salad me लैक्टोकैरियम namak tatv paya jata hai jo sharir ko aaram deta hai.

- अनिद्रा के आयुर्वेदिक उपाय/नींद आने के आयुर्वेदिक तरीके (Ayurvedic remedy for insomnia / Ayurvedic methods of sleeping)

Gahri nind ke aasaan upaay in hindi.

1:- गर्म दूध और जायफल

1 glass dhoodh me 1 चौथाई  jayphal mila kar piye agar aap dhoodh me jayphal mila kar pite hai to aapki anidra ki sikayat dur ho jati hai.

2:- तेल की मालिश

Achhi nind pane ka yah bi sabse achha tarika hai bas aap sone se phle per aur sir me भ्रिंगराज तेल se malish karen.

3:- जड़ी बूटि

Gahri nind ya anidra se chhutkara pane ke liye अश्वगंधा, तगार, और शंखपुष्पी jesi जड़ी बूटि ka sevan karen.

4:- त्रिफला 

Anidra ek bahut bimari hai jo har insan ko kabi na kabi hoti rahti hai isliye isko dur karne ke liye har roj rat ko halke garam pani me त्रिफला churan mila kar piye bahut jaldi anidra me aaram milaga.

5:- सौंफ  

सौंफ bi nind aane ke liye achha upay hai 10 gram सौंफ ko 50 gram pani ke sath me ubale aur jab tak ubale jab tak pani aada nhi rah jaye fir 200 milligrams dhoodh me mila kar sevan karen yah bi nind aane ka sabse achha ayurvedic tarika in hindi hai.

- अच्छी नींद आने के लिए क्या खाना चाहिए?(What to eat to sleep well)

Gahri nind pane ke liye kya khaye?

• Anidra ko dur karne ke liye aur achhi nind pane ke liye sone se phle kele khaye.

• Sone se phle 1 glass dhoodh piye.

• Sone se phle shahad khaye achhi nind ke liye.

• Agar aapko nind nhi aati hai roj rat ko badam kha kar soye.

• Daliya ek khana hota hai jo bahut pach jata hai isliye khane se phle daliya khana achha mana jata hai.

• Chabal me bi megnissum paya jata jo khane me bahut achha hota hai aur jiske karan nind bi achhi aati hai.

- अच्छी नींद आने के लिए क्या खाने से बचें?(What to avoid eating to get a good sleep?)

Nind aane ke liye kya na khaye?

• Achhi nind pane ke liye sharab daru ya kisi prakar ka nsha karne se bache.

• Panir khane se bache kyo ki usme amino acid paya jata hai.

• Jyada masaledar khana khane se bache.

• Coffee bi rat ko sone se phle nhi peena chahiye.

- अनिद्रा दूर करने के लिए कौन सा योग या एक्सरसाइज करें?/नींद आने के लिए योगासन (Which yoga or exercise to overcome insomnia? / Yoga for sleep)

Nind aane ke liye exarcise yogasan in hindi.

Agar aapko roj daily nind nhi aati hai to main aapko aaj kuch ase yogasan ya exarcise ke bare me bataoga jisko kar ke aap anidra se chhutkara pa sakte hai.

1:- विपरीत करनी आसन viprit karni aasan (Opposite posture)

2:- पश्चिमोत्तासन (Paschimottasan)

3:- बालासन (Balasan)

4:- उत्तानासन (Uttanasana)

5:- श्वासन (Respiratory)

- 1 मिनट में नींद लाने के ट्रिक्स (Sleep tips in hindi)

1 minute me nind aane ke jordar trick in hindi.

Nind naa par kya kare jiske karan nind 1 minute me aa jaye aaj me aapko nind aane ki ek asi trick ke bare me bataoga jiske karan aapko 1 minute me nind aa jayegi agar aapko bi 1 minute me anidra ko dur karna hai to bas aap man me "Body is active and Mindly relex" bas itna bole asa aap 10-15 bar bole bas fir aapko pta bi nhi chalega aur aapko nind aa jayegi.

- निष्कर्ष (Conclusion) -

Asha karta hu aapko anidra ke kya karan hai? Anidra ke gharelu upay ya anidra ko kaise dur kare? Jankari pasnd aai hogi agar aapko yah jankari achhi lagi hoto to ise apne dosto rishtedaro ke sath share kare aur comment kar ke bataye ki aapko yah jankari kaisi lagi.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ

Recommended Posts

Ad Code